Hindustan zindabad
humne bhi baahar aake yehi jaana
kitni mushkil hai apne desh se judaa rehna
jabtak desh mein thi, uski pehchaan nahi
jab bahar aaye tho, uski kaddar maaloom huyee
jabbi yaad karte hain wahaan ki har subha ko
lagtha hai yahaan aake kogaye un pyaare ehsaason ko
jab bhi karthi hoon apne desh ki mitti ki yaad
aati hai us kushboo ki yaad jo mann ko behlati thi
woh baarishon ke din jahaan bheegne mein mazaa thi
kahaan hai woh mazaa yahaan, har roz ek hi taraah lagthi hai
woh thandi hawaaain jo halke se mann ko bhaahte the
dilaathi hai maa ki yaad aur unki mamtha ki
har baar ye sochthi hoon, kya jaadoo hai apni mitti mein
jis se bichad kar lagtha hai khogaye sab kuch zindagi mein
na kehte hain ki desh ki qhaddar na thi jab te hum wahaan
par ye kehte hain ki woh ehsaas badthi hai aake yahaan
ab lagtha hai ki, phir se kab jaapaoongi apne yahaan
ab lagtha hai issi tamanna mein guzar jaayegi zindagi yahaan
Comments